Naye Saal ki Dua
Hadees ki Kitabon me hai kiJab naya saal Shuru Hota to Rasoolullah S.A. Ke sahaaba ek dosre ko ye dua sikhate awr batate thy.Naye Saal ki Dua in Arabic with translation and Dua photos.
Naye Saal ki Dua in Arabic


New Year Dua Urdu
Allahumma Adkhilhu Alaina Bil-amni wal-Imaani wassalaamati wal-Islaami, wa Rizwanim minar-Rahmaani wa Jiwarim mina-shshaitaani.
Translation
Tarjama: ayy Allah ! isko hum par amn-o-Imaan awr salaamti ke saath Rahman ki Khushnoodi awr Shaitaan se Hifazat ke sath laaiye.
Is Dua ko Khoob Aam karen ( Share krin ), Isliye ki Hazrat Anas bin Maalik R.A. Rasoolullah ka Irshad Naql farmate hain ki:
jis shakhs ne meri Sunnat ko Zinda kiya usne mujhse Muhabbat ki, awn jisne Mujhse Muhabbat ki wo jannat me mere saath hoga.
Note:
Islami Saal Muharram ke maheene se Shuru Hota hai.